Saturday, 18 July 2015

" Ek Arsha"..!!!

Kafi arsa beet gaya jane ab wo kesa hoga..

waqt ki sari kadwi batein chup chap sahta hoga..

Ab bhi bheege barish me wo ban k chatri chalta hoga,,

Mujh se bichde arsa beeta ab wo kis se ladta hoga,

Acha tha jo sath hi rahte baad me usne socha hoga,,,

Apne dil ki sari batein khud se khud hi karta hoga????

" WAJAH"...!!!

Wo mujh se meri khamosi ki wajah puchta hai,
Kitna pagal hai raat ke sannate ki wajah puchta hai..!!

Wo mujhse mere ansoon ki wajah puchta hai,
Kitna pagal hai baarish ke barashne ki wajah puchta hai..!!

Wo mujh se meri mohabbat ke bare me puchta hai,
Kitna pagal hai khud apne hi bare me poochta hai..!!!

Wo mujh se meri wafa ki inteha puchta hai,
Kitna pagal hai sahil pe khada hai
samundar ki gahrai poochta hai ..!!!

"Meri Tarah"...!!!!

Suna hai barish use bhi pasand hai,
wo bhi meri tarah barasti bundo ko
hatho me samet leti hai...
Suna hai phool use bhi pasand hai,
wo bhi meri tarah phoolon se ghanto batain karti rahti hai...
Suna hai chand use bhi pasand hai,
wo bhi meri tarah rat rat bhar use takti rahti hai...
Suna hai tanhaai use bhi pasand hai,
wo bhi meri tarah????
per wo tanha beth k kisko sochti hai?????
sari batein succhi hai magar,
ye bhi such hai....
me jo uske bare me har baat ki khabar rakhta hun ,
ye bhi janta hun ki uski sochon ka
mahwar me nahi...!!!

" CHURI TOOT GAI"....!!!

Kaanch Ki Churi”

Kitni saada

Kitni pyari

Kaanch ki churi jesi ladki,

Department k ek kamre me bethi,

Jane kya kuch soch rhi thi,

Uska hath kalai pr tha

O kuch kuch khofzada thi,

Ab kya hoga?

Mai b us k pas he betha,

Usko gor se dekh raha tha,

Mai ne us ka hath pakda,

Aur pyar se poocha,

Kiya Qissa he?

Uski ankhen bheeg gai,

Aur wo dheemi si awaz me boli .-

LUCKY “Dekho…naaaa!!

“Churi toot gai….!

WO PURANI YADIEN.....

Kuch Yaadein Hain Un Lamhon Ki,

Jin Lamhon Mein Hum Sath Rahe,

Khushiyon Se Bhare Jazbaat Rahe,

Ek Umar Guzari Hai Hum Ne,

Jahaan Ruthe Howe Bhi Hanste The,

Kuch Sunte The Kuch Sunate The,

Hum Roz Subah Jab Milte The,

To Sab K Chehre Khilte The,

Pur Lutf Wo Manzar Hota Tha,

Sab Mil Kar Batein Karte The,

Hum Soch K Kitna Hanste The,

Wo Goonjh Humare Hansne Ki,

Ab Ek Puraani Yaad Bani,

Ye Batein Hain Un Lamhon Ki,

Jin Lamhon Mein Hum Sath Rahe.